Wednesday 25 January 2017

mukhtalif shayar


....... हर सु रोशनी तोह बस बहाना है. 

हर सु रोशनी तो बस बहाना है,
अब तो तन्हाई का ज़माना है. 

अपने ठिकाने पे वह मिलते ही नहीं,
बस बेकार का ही आना-जाना है. 

ज़िन्दगी क्या है कुछ लफ़्ज़ों में कह दूं,
मेहमान बनके रहना है फिर लौट जाना है. 

जानते है इस से कुछ नहीं मिलेगा फिर भी,
हर गुज़रती लड़की को देखते जाना है. 

दर्द का हर कटरा अपना दोस्त है,
ख़ुशी का हर ज़र्रा हमसे बेगाना है. 

यह दुनिया जिसकी इजाज़त नहीं देगी,
हमने दिल में कुछ वैसा ठाना है. 

बोहोत सी बातें है जो याद रखनी है,
कुछ बुरी यादें है जिनको भूल जाना है. 

बुज़ुर्गों के मुँह से सुना था हमने,
मौत क्या है ? बस एक बहाना है. 

भरोसे लायक यहां अब कोई भी नहीं,
जो भरोसेमंद है उन्हें भी आज़माना है. 

बुज़ुर्गों से बाइज़्ज़त पेश आओ क्योंकि,
कल तुम्हे भी बुज़ुर्ग हो जाना है. 

ऐसे जी कर भी क्या फायदा,
जब जीते-जी मर जाना है. 

                                         - राणा प्रताप सिंह।

Friday 10 June 2016

.....KUCH.....





        .....कुछ..... 

इस कुछ में बहोत कुछ समाया है ,
येह  मैं नहीं मेरा साया है। 

मुझमे "मैं " तो कहीं है ही नहीं ,
जो थोड़ा कुछ है भी वोह आप में समाया। 

जहाँ "मैं" है वहां "घमंड" है,
मैंने इस "मैं" को पिघला के खुदको हम बनाया है. 

प्यार की तलाश में भटका हूँ मैं ज़माने में,
बहोत ज़माने बाद मैंने आपको पाया है. 

बारिशों की तरह जो बरसे है आपकी आँख से आंसू,
उसमे मैंने अपना प्यार मिला के उसे शबनम बनाया है. 

                              -राणा  प्रताप सिंह  

Tuesday 7 June 2016

HAAL-E-DIL


MUKHTALIF SHAYAR


              HAAL-E-DIL

Nazron se nazren ab hum milaate nahi,
Har kisi ko ab hum apna haal-e-dil sunate nahi.

Aise hue hai bekhabar apne aas paas ki duniya se,
Ke koi pooche humse hamare ghar ka haal toh hum woh bhi bayaan kar paate nahi.

Yeh kitaabe yeh kalam kis kaam ke,
Ke ab toh hum kuch likh paate nahi.

Der se hi sahi hume ek khayaal toh aaya,
Warna hum shayar kehlaate nahi.

Iss chhoti si zindagi me hum itni dafa haar chuke hai,
Ke jeet ka bhi jashn ab hum manaate nahi.

Hum toh unke aage kabse sir jhukaaye khade hai,
Aur woh hai ke hume apna shagird banaate nahi.

Shayad unko hamari mohabbat par aitbaar na tha,
Warna woh humko iss kadar aazmaate nahi.

Zarurat padne par hum sabko yaad aate hai,
Jashn ke mauke par hum kisi ko yaad aate nahi.

Iss akelepan ke marz ka koi ilaaj ho toh bataaye,
Ke hum akele ghar se nikalte hai aur jaldi wapas aate nahi.

Thoda-thoda karke hum roz marte hai,
Kyu kisi roz hum puri tarah jaan se jaate nahi.

                              -RANA PRATAP SINGH

Thursday 12 May 2016

SHER-O-SHAYARI


hum pe jo beeti hai


         SHER-O-SHAYARI

1.Mauke par misra mujhe yaad nahi aata,
   Bhula-bisra mujhe yaad nahi aata.
  Jab tak chhanv ho raahon me tab tak log saath chalte hai,
  Andhere me toh apna saaya bhi saath nahi aata.

2.Musafir ka ghar raasta hi hota hai,
   Zakhm par marham ka asar aahista hi hota hai.
   Hardam sach bolna mumkin nahi...aur main insaan hun,
   Jo sirf sach bole woh farishta hi hota hai.

3.Aise nazaare mujhe kam dikhayi dete hai,
   Main jahan dekhun mujhe gam dikhayi dete hai.
   Manzil bohot duur ho aur raaston se nikle raaste,
   Aur gumraah hum dikhayi dete hai.

4.Sard mausam ki shuruwat ho gayi,
   Aapko yaad kiya aur aapse baat ho gayi.
   Kal tak hamare charche gali-mohalle me hua karte the,
   Woh aaj itne bade ho gaye ki akhbaar ho gayi.

                              -RANA PRATAP SINGH

Sunday 17 April 2016

YAADON KA KARWAAN


            YAADON KA KARWAAN

Din dhale toh yaadon ka karwaan chale,
Ab koi na mile mujhse,bas mai hi mujhme mile.

Ek woh bhi daur tha jab hum pe aur hamari baaton pe gaur tha,
Kheir ab dil kisi se mile na mile,nazre toh mile.

Woh mujhse bichhad kar chale toh gaye,
Lekin hume jab unke khat mile toh woh bhi nam mile.

Yeh wahi raah hai jis par kabhi hum the chale,
Kya tumhe bhi yaad hai woh hasin silsile.

Kash-ma-kash me hun main yeh soch kar,
Ke tumse milna likha tha ke tum yunhi the mile.

Yeh kaisi mann-mutaav ki leher si daudi hai,
Ab toh hawa me pyaar ki shabnam mile.

Auron ko toh girte bohot dekha,
Magar jab apne girne ki baari aayi toh sahara denewale kam mile.

Jab kareebi doston ne rang dikhaye apne,
Toh humko gam mile aur khud se hum mile.

                                  -RANA PRATAP SINGH

Tuesday 12 April 2016

.....BAARHA TUMHE DEKHKAR


.....BAARHA TUMHE DEKHKAR

Shayad hum me kabhi kuch tha hi nahi,
Mujhme woh tha,usme main kabhi tha hi nahi.

Uske beet jaane ke baad log use aise bhool gaye,
Ke jaise woh mukhtalif kabhi yahan tha hi nahi.

Meri ek awaaz par woh aise chouk utha,
Ke jaise maine uska zulm kabhi saha hi nahi.

Woh ab tanhayi me iss kadar doob chuka hai,
Ke jaise woh khushnuma kabhi tha hi nahi.

Par...
Barson baad mujhe dekhkar woh aise khil utha,
Ke jaise woh tanha kabhi tha hi nahi.

Baarha tumhe dekhkar tumse pyaar ho jaata tha mujhe,
Iss dil par mera ikhtiyaar kabhi raha hi nahi.

Tum jo badle uss kaali ghata ke saath,
Jo pyaar tha pehle,woh pyaar phir kabhi raha hi nahi.

                                 -RANA PRATAP SINGH


Saturday 2 April 2016

MAIKASHI


        
Mehfil


           MAIKASHI

Ek shaam hai,
Gumnaam hai,
Haathon me mere jaam hai.
Jaam me sharaab hai,
Log kehte hai yeh kharaab hai.
Magar hamare liye iska swaad lajawaab hai,
Isme maza behisaab hai.
Hum ise samajh kar peete hai ke yeh aab hai,
Hum bhool hi jaate hai ke yeh sharaab hai.
Hum ise peene me itne mashgul rehte hai,
Hamare hosh na jaane kahan gul rehte hai.
Yun toh ghar hai hamara,
Lekin ise labon se lagaane ke baad
Hum saatve aasmaan par rehte hai.
Saaqi hamara jaam bharte-bharte thak jaata hai,
Magar hum jaam khali karte thakte nahi.
Gar saaqi na ho hamare pehlu me
Toh hum khud hi jaam bhar lete hai,
Hum saaqi ki raah takte nahi.
Aakhir-kaar hamari mehfil jab khatm hoti hai,
Bas hum hi jage rehte hai,saari duniya soti hai.
Phir jaise-taise kar hum maikhaane se ghar ke liye nikalte hai,
Girte bhi nahi hai hum aur na hi hum sambhalte hai.
Maikade se ghar ke safar me
Ek baat zehen me aati hai,
Khudko baar-baar dohraati hai.
"Kyu main itna pee lete hun"
Is baat se main pachtata hun,
Aur aisi maikashi ki haalat me
Ghar jaane se ghabrata hun.
Ladkhadate-dagmagate hum ghar pohoch hi jaate hai,
Dheere se darwaza kholte hai,
Chupke se andar ghus jaate hai.
Koi jaag na jaaye hamari aahat se
Yeh soch kar hum ghabrate hai,
Phir dabe paaon bistar par jaakar
Chup-jaap se hum so jaate hai.

(Aab=Paani) (Saaqi-Bartender)

                          -RANA PRATAP SINGH