1) Log har mod pe ruk ruk ke sambhalate kyun hain
Itana darte hain to phir ghar se nikalate kyun hain
Main na juganu hun diya hun na koi tara hun
Raushani wale mere nam se jalate kyun hain
Nind se mera ta`alluq hi nahi barason se
Khwab a a ke meri chat pe tahalate kyun hain
Mod hota hai jawani ka sambhalane ke liye
Aur sab log yahin ake phisalate kyun hain ..

2) Kabhi akaile ma mil kar jhanjhor doon ga usse
Jahan jahan se wo toota hai jor doon ga usse
Mujhe chod gaya ye kamaal hai us ka
Iraada ma ne kiya tha ke chor doon ga usse
Paseene baant'ta phirta hai har taraf sooraj
Kabhi jo haath laga to nichor doon ga usse
Maza chakha ke hi maana hoon ma bhi dunya ko
Samajh rahi thi ke aise hi chor doon ga usse
Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujh se shseesha badan
Usse ye dar hai ke tor phor doon ga usse ..

3)Har ek chehare ko zakhmon ka aina na kaho
Ye zindagi to hai rahamat ise saza na kahoNa jane kaun si majaburiyon ka qaidi ho
Wo sath chor gaya hai to bewafa na kaho
Tamam shahar ne nezon pe kyun uchala mujhe
Ye ittefaq tha tum is ko hadasa na kaho
Ye aur bat ke dushman hua hai aj magar
Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho
Hamare aib hamay ungaliyon pe ginwao
Hamari pith ke piche hamay bura na kaho
Main waqiyat ki zanjir ka nahi qayal
Mujhe bhi apane gunahon ka silsila na kaho
RAHAT INDORI
No comments:
Post a Comment