Sunday 31 January 2016

Yaadon Ki Shaam


                AAPKO DEKHKAR

Aapko dekhkar dekhta reh gaya,
Kya kahun aur kehne ko kya reh gaya.

Aate-aate mera naam sa reh gaya,
Uske hothon pe kuch kaanpta reh gaya.

Woh mere saamne hi gaya aur mein,
Raaste ki tarah dekhta reh gaya.

Unki aankhon se kaise chhalakne laga,
Mere hothon pe woh maanjra reh gaya.

Aise bichhade sabhi raat ke mod par,
Aakhri hamsafar raasta reh gaya.

Jhooth waale kahin se kahin badh gaye,
Aur mein tha ke sach bolta reh gaya.

                              -WASEEM BARELVI


                                  MAA

Maine rote huye ponchhe the kisi din aansu,
Muddaton Maa ne nahi dhoya dupatta apna.

Labon pe uske kabhi baddua nahi hoti,
Bas ek Maa hai jo kabhi khafa nahi hoti.

Ab bhi chalti hai jab aandhi kabhi gam ki Rana,
Maa ki mamta mujhe baahon me chhupa leti hai.

Jab tak raha hun dhoop me chaadar bana raha,
Main apni Maa ka aakhri jewar bana raha.

Kisi ko ghar mila hisse me ya koi dukaan aayi,
Main ghar me sabse chhota tha mere hisse me Maa aayi.

Ae andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
Maa ne aankhen khol di ghar me ujaala ho gaya.

Iss tarah mere gunahon ko woh dho deti hai,
Maa bahot gusse me hoti hai toh ro deti hai.

Meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaaun,
Maa se iss tarah lipat jaaun ke baccha ho jaaun.

Khud ko iss bheed me tanha nahi hone denge,
Maa tujhe hum abhi boodha nahi hone denge.

Jab bhi dekha hai mere kirdaar pe dhabba koi,
Der tak baith ke tanhayi me roya koi.

Yahin rahunga kahin umr bhar na jaaunga,
Zameen Maa hai ise chhod kar na jaaunga.

Abhi zinda hai Maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga,
Main jab ghar se nikalta hun duaa bhi saath chalti bhai.

Maine kal shab chaahaton ki sab kitaabe phad di,
Sirf ek kaagaz pe likha lafz-e-maa rehne diya.

Maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona,
Jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahi hoti.

Buzurgon ka mere dil se abhi tak darr nahi jata,
Ke jab tak jaagti rehti hai Maa main ghar nahi jata.

Yeh aisa karz hai jo main adaa kar hi nahi sakta,
Main jab tak ghar na lautoon meri Maa sajde me rehti hai.

Chalti phirti huyi aankhon se azaa'n dekhi hai,
Maine jannat toh nahi dekhi hai Maa dekhi.

                           -MUNAWWAR RANA


               MAIN UNHE YAAD AAU

Main unhe yaad aau yahi badi baat hogi,
Waqt tham jayega jab woh mere saath hogi.

Intezaar me hun ki kab unse khulkar baat hogi,
Issi firaaq me hun ke sapne dekhunga unke...kambakt kab raat hogi.

Woh bhi kya samaa hoga jab unse shaam-e-mulaqaat hogi
Agar mulaqaat na huyi toh yeh bechaini har raat hogi.

Agar humse pehle unhone hi kar di izhaar-e-mohabbat,
Toh mere liye isse badi kya baat hogi.

                          -RANA PRATAP SINGH


           KASHTI TERA NASEEB

Kashti tera naseeb chamakdaar kar diya,
Iss paar ke thapedon ne uss paar kar diya.

Afwaah thi ki meri tabiyat kharab hai,
Logo ne pooch-pooch ke bimaar kar diya.

Raaton ko chandni ke bharose na chhodna,
Suraj ne jugnuoon ko khabardaar kar diya.

Ruk-ruk ke log dekh rahe hai meri taraf,
Tumne zara si baat ko akhbaar kar diya.

Iss baar ek aur bhi deewaar gir gayi,
Baarish ne mere ghar ko hawadaar kar diya.

Bola tha sach toh zeher pilaya gaya mujhe,
Acchhaiyon ne mujhko gunahgaar kar diya.

Do gaz sahi magar yeh meri milkiyat toh hai,
Ae mout tune mujhko zameedaar kar diya.

                                      -RAHAT INDORI


                         USKA AANA

Uska aana kuch aise hua ke jaise mera jana bhi nahi hota,
Hum bhi unki pheki huyi roti utha lete jo hamara naam Rana nahi hota.

                          -RANA PRATAP SINGH


    YEH JAANE KAISA RAAZ HAI

Ek baat hothon tak hai jo aayi nahin
Bas aankhon se hai jhaankti.

Tumse kabhi mujhse kabhi
Kuch lafz hai woh maangti.

Jinko pehen ke hothon tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon me baahen daalke ithlaaye woh.

Lekin jo yeh ek baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai.

Khushboo si hai jaise hawa me tairti
Khushboo jo be-awaaz hai.

Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai,
Duniya se bhi chhupta nahi
Yeh jaane kaisa raaz hai.

                       -JAVED AKHTAR

No comments:

Post a Comment