Sunday 17 April 2016

YAADON KA KARWAAN


            YAADON KA KARWAAN

Din dhale toh yaadon ka karwaan chale,
Ab koi na mile mujhse,bas mai hi mujhme mile.

Ek woh bhi daur tha jab hum pe aur hamari baaton pe gaur tha,
Kheir ab dil kisi se mile na mile,nazre toh mile.

Woh mujhse bichhad kar chale toh gaye,
Lekin hume jab unke khat mile toh woh bhi nam mile.

Yeh wahi raah hai jis par kabhi hum the chale,
Kya tumhe bhi yaad hai woh hasin silsile.

Kash-ma-kash me hun main yeh soch kar,
Ke tumse milna likha tha ke tum yunhi the mile.

Yeh kaisi mann-mutaav ki leher si daudi hai,
Ab toh hawa me pyaar ki shabnam mile.

Auron ko toh girte bohot dekha,
Magar jab apne girne ki baari aayi toh sahara denewale kam mile.

Jab kareebi doston ne rang dikhaye apne,
Toh humko gam mile aur khud se hum mile.

                                  -RANA PRATAP SINGH

Tuesday 12 April 2016

.....BAARHA TUMHE DEKHKAR


.....BAARHA TUMHE DEKHKAR

Shayad hum me kabhi kuch tha hi nahi,
Mujhme woh tha,usme main kabhi tha hi nahi.

Uske beet jaane ke baad log use aise bhool gaye,
Ke jaise woh mukhtalif kabhi yahan tha hi nahi.

Meri ek awaaz par woh aise chouk utha,
Ke jaise maine uska zulm kabhi saha hi nahi.

Woh ab tanhayi me iss kadar doob chuka hai,
Ke jaise woh khushnuma kabhi tha hi nahi.

Par...
Barson baad mujhe dekhkar woh aise khil utha,
Ke jaise woh tanha kabhi tha hi nahi.

Baarha tumhe dekhkar tumse pyaar ho jaata tha mujhe,
Iss dil par mera ikhtiyaar kabhi raha hi nahi.

Tum jo badle uss kaali ghata ke saath,
Jo pyaar tha pehle,woh pyaar phir kabhi raha hi nahi.

                                 -RANA PRATAP SINGH


Saturday 2 April 2016

MAIKASHI


        
Mehfil


           MAIKASHI

Ek shaam hai,
Gumnaam hai,
Haathon me mere jaam hai.
Jaam me sharaab hai,
Log kehte hai yeh kharaab hai.
Magar hamare liye iska swaad lajawaab hai,
Isme maza behisaab hai.
Hum ise samajh kar peete hai ke yeh aab hai,
Hum bhool hi jaate hai ke yeh sharaab hai.
Hum ise peene me itne mashgul rehte hai,
Hamare hosh na jaane kahan gul rehte hai.
Yun toh ghar hai hamara,
Lekin ise labon se lagaane ke baad
Hum saatve aasmaan par rehte hai.
Saaqi hamara jaam bharte-bharte thak jaata hai,
Magar hum jaam khali karte thakte nahi.
Gar saaqi na ho hamare pehlu me
Toh hum khud hi jaam bhar lete hai,
Hum saaqi ki raah takte nahi.
Aakhir-kaar hamari mehfil jab khatm hoti hai,
Bas hum hi jage rehte hai,saari duniya soti hai.
Phir jaise-taise kar hum maikhaane se ghar ke liye nikalte hai,
Girte bhi nahi hai hum aur na hi hum sambhalte hai.
Maikade se ghar ke safar me
Ek baat zehen me aati hai,
Khudko baar-baar dohraati hai.
"Kyu main itna pee lete hun"
Is baat se main pachtata hun,
Aur aisi maikashi ki haalat me
Ghar jaane se ghabrata hun.
Ladkhadate-dagmagate hum ghar pohoch hi jaate hai,
Dheere se darwaza kholte hai,
Chupke se andar ghus jaate hai.
Koi jaag na jaaye hamari aahat se
Yeh soch kar hum ghabrate hai,
Phir dabe paaon bistar par jaakar
Chup-jaap se hum so jaate hai.

(Aab=Paani) (Saaqi-Bartender)

                          -RANA PRATAP SINGH