Sunday 17 April 2016

YAADON KA KARWAAN


            YAADON KA KARWAAN

Din dhale toh yaadon ka karwaan chale,
Ab koi na mile mujhse,bas mai hi mujhme mile.

Ek woh bhi daur tha jab hum pe aur hamari baaton pe gaur tha,
Kheir ab dil kisi se mile na mile,nazre toh mile.

Woh mujhse bichhad kar chale toh gaye,
Lekin hume jab unke khat mile toh woh bhi nam mile.

Yeh wahi raah hai jis par kabhi hum the chale,
Kya tumhe bhi yaad hai woh hasin silsile.

Kash-ma-kash me hun main yeh soch kar,
Ke tumse milna likha tha ke tum yunhi the mile.

Yeh kaisi mann-mutaav ki leher si daudi hai,
Ab toh hawa me pyaar ki shabnam mile.

Auron ko toh girte bohot dekha,
Magar jab apne girne ki baari aayi toh sahara denewale kam mile.

Jab kareebi doston ne rang dikhaye apne,
Toh humko gam mile aur khud se hum mile.

                                  -RANA PRATAP SINGH

No comments:

Post a Comment