Saturday 6 February 2016

AN'KAHI BAATEIN


                  .....BHOOL GAYE

Roye hum itna ke muskurana bhool gaye,
Paas aaye itna ke door jana bhool gaye.

Kabhi woh apne husn par bada itraaya karti thi,
Unki umr jab khafa huyi unse toh unke deewaane unhe bhool gaye.

Woh humse kehte hai ki hum kyu unse door gaye,
Ab unhe kon samjhaye ki woh milne ke bahaane hi bhool gaye.

Woh chaahaton ka silsila toh unhe yaad bhi nahi,
Kheir chhodo...woh maanjra hum bhi bhool gaye.

Ek zamaana woh bhi tha ke jab unhe hum yaad bhi na the,
Aur aaj yeh zamaana hai ke hum unhe bhool gaye.

                           -RANA PRATAP SINGH


HAMESHA DER KAR DETA HUN MAIN

Zaruri baat kehni ho,
Koi wada nibhaana ho,
Use aawaaz deni ho,
Use waapas bulaana ho,
Hamesha der kar deta hun main.

Madad karni ho uski,
Yaar ki dharas bandhaana ho,
Bohot derina raston par
Kisi se milne jana ho,
Hamesha der kar deta hu main.

Badalte mausamon ki sair me
Dil ko lagana ho,
Kisi ko yaad rakhna ho,
Kisi ko bhool jana ho,
Hamesha der kar deta hun main.

Kisi ko maut se pehle
Kisi gam se bachana ho,
Haqiqat aur thi kuch
Usko jaa ke yeh batana ho,
Hamesha der kar deta hun main.

                   -MUNIR NIYAZI


              THEHRI THEHRI SI

Thehri thehri si tabiyat me rawaani aayi,
Aaj phir yaad mohabbat ki kahaani aayi.

Aaj phir neend ko aankho'n se bicchadte dekha,
Aaj phir yaad koi chot puraani aayi.

Muddato'n baad unpe chala hamara jaadu,
Muddato'n baad humain baat banaani aayi.

Muddato'n baad pashemaa'n hua dariya hum par,
Muddato'n baad humain pyaas chhupaani aayi.

Muddato'n baad khuli wus'at-e-sehra hum par,
Muddato'n baad humain khaak udaani aayi.

Muddato'n baad mayassar hua MAA ka aanchal,
Muddato'n baad humain neend suhaani aayi.

Itni aasaani se nahi milti fan ki daulat,
Dhal gayi umr toh ghazalo'n pe jawaani aayi.

                             -IQBAL ASHAR


                       AURAT

Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe.

Qalb-e-mahoul me larzaa'n sharar-e-jang hai aaj,
Hausle waqt ke aur ziist ke yakrang hai aaj,
Aabgino'n me tapaa'n walwale-e-sang hai aaj,
Husn aur ishq ham aawaaz-o-hamahang hai aaj;
Jisme jalta hun usi aag me jalna hai tujhe,
Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe.

Zindagi jehad me hai sabr ke kaabu me nahi,
Nabz-e-hasti ka lahu kaanpte aansu me nahi,
Udne khulne me hai nakhat kham-e-gesu me nahi,
Jannat ek aur hai jo mard ke pehlu me nahi;
Uski aazaad ravish par bhi machalna hai tujhe,
Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe.

Goshe goshe me sulagti hai chitaa tere liye,
Farz ka bhes badalti hai qaza tere liye,
Qeher hai teri har narm adaa tere liye,
Zeher hi zeher hai duniya ki hawa tere liye;
Rut badal daal agar phoolna phalna hai tujhe,
Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe.

Qadr ab tak teri taareekh ne jaani hi nahin,
Tujhme shole bhi hai bas ashkfishaani hi nahin,
Tu haqiqat bhi hai dilchasp kahaani hi nahin,
Teri hasti bhi hai ek cheez jawaani hi nahin;
Apni taareekh ka unwaan badalna hai tujhe,
Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe.

Todkar rasm ke but bare qadamat se nikal,
Zof-e-ishrat se nikal,vehem-e-nazakat se nikal,
Nafs ke khinche huye halq-e-azmal se nikal,
Yeh bhi ek qaid hi hai,qaid-e-mohabbat se nikal;
Raah ka khaar hi kya gul bhi kuchalna hai tujhe,
Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe.

Tod yeh azm-shikan dagdag-e-pand bhi tod,
Teri khatir hai jo zaneer woh saugandh bhi tod,
Tauq yeh bhi zamrood ka gulband bhi tod,
Tod paimana-e-mardaa'n-e-khirmand bhi tod;
Banke toofaan chhalakna hai ubakna hai tujhe,
Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe.

Tuu falaatuno'n arastuu hai tu zohra parveen,
Tere qabze me hai gardan,teri thokar me zameen,
Haan,uthaa,jald uthaa paaye-muqqadar se jabeen,
Main bhi rukne ka nahi waqt bhi rukne ka nahin;
Ladkhadayegi kahaan tak ki sambhalna hai tujhe,
Uth meri jaan merfe saath hi chalna hai tujhe.

                                  -KAIFI AZMI

No comments:

Post a Comment