Friday 5 February 2016

saraee raah jo unsaay nazarr mili...


Saraee raah jo unsaay nazarr mili,
To naksh dil kay ubharr gaye,
Hum nazarr mila kar jhijhag gaye,
Woh nazarr jhukaa kar chalay gaye ....

Sabnay pahnaa tha baday shaukk se kaagaz ka libaas,
Jis kadarr logg thay baarish me nahaanay walay,
Adal ke tum na humay aas dilaaoo,
Katl ho jatay hain, zanzeer hilanay walay …

Nuktaa chi hai gam e dil, key sunayaa na banay,
Kya baat banay wahan, jahan baat banyay na banay,
Ishq par zorr nahi hai yeh woh attissh Ghalib,
Jo lagaye na lagay bhujhaye na banay ...

Har eik baat pay kehtay ho tum key ‘toh kya hai’ ? 
Tumhi kaho key ye andaaz-e-guftguu kya hai ? 
Ragon may daudtay firnay kay ham nahi qayal, 
Jab aankh hi say na tapkaa to firr lahoo kya hai ?

- Mirza Ghalib

No comments:

Post a Comment