Tuesday 9 February 2016

Nida Fazli - The Legendary Poet Rest In Peace...



                                                                      Nida Fazli
                                  Born: October 12, 1938, Delhi,  Died: February 8, 2016, Mumbai




1) Tera Sach Hai Tere Dard Mein,
Jhoot Likha Hai Sab Kitabon Mein,
Ek Se Mil Ke Sab Se Mil Lijiye,
Aaj Har Sakhs Hai Nakabo Mein,
Tera Milna Tere Nahin Milna,
Ek Raasta Kayi Sarabo Mein,
Unki Nakamiyo Ko Bhi Giniye,
Jinki Sohrat Hai Kamyabo Mein,
Roshni Thi Sawal Ki Had Tak,
Har Najar Kho Gayi Jawabon Mein…


2) Jinki Palken Bhig Rahi Hain Unko Bhi Gham Hoga,
Lekin Jis Par Aab Na Thahre Woh Moti Kam Hoga,
Bheeg Chuki Hai Raat Toh Sooraj Ke Ugne Tak Jaago,
Jis Takiye Par Sar Rakhoge Woh Takiya Nam Hoga,
Badal Chaand Ghatayein Sooraj Yeh Baatein Kya Jaane,
Unse Puchho Kis Basti Mein Kaisa Mosam Hoga,
Mere Chulhon Mein Toh Itni Aag Nahin Thi,
Jis Se Sara Shahar Jala Hai Koi Parcham Hoga…

3) Mumkin Hai Safar Ho Aasan Ab Sath Bhi Chalkar Dekhein,
Kuchh Tum Bhi Badalkar Dekho Kuchh Hum Bhi Badalkar Dekhen,
Aankhon Mein Koi Chehra Ho Har Pag Pe Ek Pahra Ho,
Jangle Se Chalein Basti Mein Duniya Ko Sambhalkar Dekho,
Do Char Kadam Har Rasta Pahle Ki Tarah Lagta Hai,
Shayad Koi Manjar Badle Kuchh Dur Oh Chalkar Dekhen,
Ab Vakt Bacha Hai Kitna Jo Aur Ladein Duniya Se,
Duniya Ki Nasihat Par Bhi Thoda Sa Amal Karein…



No comments:

Post a Comment