Saturday 20 February 2016

ANURAG


 Todays Post is Dedicated to my friend ANURAG..who died due to blood cancer.This is for him




    Born: 18/11/1996 -  Died: 9/5/2015


Woh chala gaya mooh modkar,
Dil todkar akela chhodkar.
Sang jiske kayi lamhe beete,
Dher saari baatein ki,
Aaj wahi shaks saath nahi
Bas uski yaadein thi.
Aaj woh nahi bas uski yaad hai,
Woh kuch kehta nahi bas goonjti uski aawaaz hai.
Yeh zindagi bhi kitni ajeeb hai,
Aaj pata chala ki hum uske bina kitne gareeb hai.
Woh uska hasna uska khilkhilana,
Dheere se palat ke halke se muskurana.
Yaad hai uska hamari zindagi me aana,
Lekin badnaseebi se use jaldi pad gaya jana.
Zindagi zindagi nahi yaaron dhoka hai,
Jaanewale ko kisne roka hai.
Sambhal jao e doston abhi mauka hai,
Kyuki kal kisne dekha hai.

                     -RANA PRATAP SINGH.


RANJ KI JAB GUFTAGU HONE LAGI

Ranj ki jab guftagu hone lagi,
Aap se tum,tum se tu hone lagi.

Chahiye paigamber dono taraf,
Lutf kya jab du-ba-du hone lagi.
(du-ba-du=face to face)

Meri ruswaai ki naubat aa gayi,
Unki shohrat ku-ba-ku hone lagi.
(ku0ba0ku=gali-gali)

Naazir badh gayi hai is qadar,
Aarzoo ki aarzoo hone lagi,

Ab toh mil kar dekhiye kya rang ho,
Phir hamari justaju hone lagi.

DAAG itraaye hue phirte hai aap,
Shayad unki aabroo hone lagi.

                  -DAAG DEHLVI.


CHUPKE CHUPKE RAAT DIN

Chupke chupke raat din aansoo bahana yaad hai,
Humko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai.

Baa-hazaaraa'n iztiraab-o-sad-hazaaraa'n ishtiyaaq,
Tujhse woh pehle pehel dil ka lagana yaad hai.

Tujhse milte hi woh bebaak ho jana mera,
Aur tera daato'n me woh ungli dabana yaad hai.

Khinch lena woh mera parde ka kona dafatan,
Aur duppate se tera woh munh chhupana yaad hai.

Tujhko jab tanha kabhi pana toh az-raahe-lihaaz,
Haal-e-dil baaton hi baaton me jatana yaad hai.

Jab siwa mere tumhara koi diwana na tha,
Sach kaho kya tumko bhi woh kaarkhana yaad hai.

Gair ki nazro'n se bachkar sabki marzi ke khilaaf,
Woh tera chori chhipe raaton ko aana yaad hai.

Aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq,
Woh tera ro ro ke mujhko bhi rulana yaad hai.

Dopeher ki dhoop me mere bulane ke liye,
Woh tera kothe pe nange pao'n aana yaad hai.

Chori chori hum se tum aakar mile the jis jagah,
Muddate guzri par ab tak woh thikana yaad hai.

Berukhi ke saath sunna dard-e-dil ki daastaa'n,
Aur tera haatho'n me woh kangan ghumana yaad hai.

Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye,
Woh tere sukhe labo'n ka thar-tharana yaad hai.

                             -HASRAT MOHANI.


        TUMHARE KHAT ME......

Tumhare khat me naya ek salaam kiska tha,
Na tha raqeeb toh aakhir woh naam kiska tha.

Woh qatl karke har kisi se poochte hai,
Yeh kaam kisne kiya hai yeh kaam kiska tha.

Wafa karenge,nibhayenge,baat maanenge,
Tumhe bhi yaad hai kuch ke yeh kalaam kiska tha.

Raha na dil me woh bedard aur dard raha,
Muqim ko hua hai aur maqaam kiska tha.

Na pooch-paach thi kisi ki na aao-bhagat,
Tumhari bazm me kal ehtamaam kiska tha.

Hamare khat ke toh purze kiye,padha bhi nahi,
Suna jo tumne baa-dil woh payaam kiska tha.

Inhi'n sifaat se hota hai aadmi mashhoor,
Jo lutf aap hi karte toh naam kiska tha.

Guzar gaya woh zamaana kahe toh kisse kahe,
Khayaal mere dil ko subh-o-shaam kiska tha.

Har ek se kehte hai kya DAAG bewafa nikla,
Yeh poochhe unse koi woh ghulam kiska tha.

                            -DAAG DEHLVI.


        MERI ZINDAGI KISI AUR KI...

Meri zindagi kisi aur ki,mere naam ka koi aur hai,
Mera aks hai sar-e-aaina,paase aaina koi aur hai.

Meri dhadkano'n me hai chaap si,yeh judaai bhi hai milaap si,
Mujhe kya pata,mere dil bata,mere saath kya koi aur hai.

Na gaye dino ko khabar meri,na shareek-e-haal nazar teri,
Tere des me,mere bhes me,koi aur tha koi hai.

Woh meri taraf nigraa'n rahe,mera dhyaan jaane kahaan rahe,
Meri aankh me kayi surate'n,mujhe chahta koi aur hai.

                                -MUZAFFAR WARSI.


YAHI HAALAAT IBTADAA SE RAHE

Yahi haalaat ibtadaa se rahe,
Log humse khafa-khafa se rahe.

Bewafa tum kabhi na the lekin,
Yeh bhi sach hai ki bewafa se rahe.

In chiraago'n me tel hi kam tha,
Kyo'n gila phir hume hawa se rahe.

Bahas,shatranj,sher mausiqi,
Tum nahi rahe toh yeh dilaase rahe.

Uske bando ko dekhkar kahiye,
Humko ummid kya khuda se rahe.

Zindagi ki sharaab maangte ho,
Humko dekho ki pee ke pyaase rahe.

                     -JAVED AKHTAR.

No comments:

Post a Comment