Saturday 27 February 2016

LAAJAWAAB GHAZAL AUR KAVITA

                 











AKHBAAR NA KARO...

Yun chhoti chhoti baato'n ko akhbaar na karo,
Ek toh guftagu kam hai,aur takraar na karo.

Bewafa aashiqo'n ki qataar badi lambi hai,
Hamari berukhi ke liye hame unme shumaar na karo.

Tumhari yaad kya kam thi,jo khat bheja hai,
Ab hame vasl ke liye aur beqaraar na karo.
(Vasl=Mulaqat)

Tumhe mehsoos karne ko jee chahta hai har pal,
Ab yun bhi hame apna talabgaar na karo.
(Talabgaar=Icchhuk)

Logon se hamare mohabbat ke kisse sunkar Maa humse kehti hai,
Ke yunhi ishq farmaate raho,koi kaar-o-baar na karo.
(Kaar-o-baar=Vyapaar)

                             -RANA PRATAP SINGH


                         PAGLI LADKI

Mawas ki kaali raato'n me,dil ka darwaaza khulta hai,
Jab dard ki kaali raato'n me gam aansu ke sangh ghulta hai,
Jab pichhwade ke kamre me hum nipat akele hote hai,
Jab ghadiyaa'n tik-tik chalti hai,sab sote hai hum rote hai,
Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hai,
Jab unch-neech samjhaane me maathe ki nas dukh jaati hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhaari lagta hai.

Jab pothe khaali hote hai,jab harf sawaali hote hai,
Jab ghazalein raas nahin aati,afsaane gaali hote hai,
Jab baasi feeki dhoop samete'n din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka lashkar chhat se galiyo'n me der se jaata hai,
Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pehli bus chhut jaati hai,
Jab be-mann se khana khane par Maa gussa ho jaati hai,
Jab laakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,
Jab apna har mann chaaha kaam koi lachaari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhaari lagta hai.

Jab kamre me sannate ki aawaaz sunai deti hai,
Jab darpan me aankho'n ke neeche jhaai dikhayi dete hai,
Jab badki bhabhi kehti hai kuch sehat ka bhi dhyaan karo,
Kya likhte ho dinbhar,kuch sapnon ka bhi samman karo,
Jab baba waali baithak me kuch rishte waale aate hai,
Jab baba hame bulate hai,hum jaate hai,ghabraate hai,
Jab saari pehne ek ladki ka photo laaya jaata hai,
Jab bhabhi hame manati hai,photo dikhlaya jata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankaari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur uss pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Didi kehti hai uss pagli ladki ki kuch aukaat nahin,
Uske dil me bhaiya tere jaise pyaare jazbaat nahin,
Woh pagli ladki meri khaatir nau din bhooki rehti hai,
Chup chup saare vrat karti hai,par mujhse kuch na kehti hai,
Jo pagli ladki kehti hai,main pyaar tumhi se karti hun,
Lekin main hun majboor bahot,amma-baba se darti hun,
Uss pagli ladki par apna kuch bhi adhikaar nahin baba,
Yeh khata-kahani kisse hai,kuch bhi toh saar nahin baba,
Bas uss pagli ladki ke sang jeena fulwaari lagta hai,
Aur uss pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

                            -DR. KUMAR VISHWAS


KITNI PI KAISE KATI RAAT...

Kitni pi kaise kati raat mujhe hosh nahin,
Raat ke saath gayi baat mujhe hosh nahin.

Mujhko yeh bhi nahi maloom ke jaana hai kahaan,
Thaam le koi mera haath mujhe hosh nahin.

Aansuon aur sharaabon me guzar hai ab toh,
Maine kab dekhi thi barsaat mujhe hosh nahin.

Jaane kya toota hai,paimana ki dil hai mera,
Bikhre-bikhre hai khayalaat mujhe hosh nahin.

                                -RAHAT INDORI


                DEEWAARE NA DEKH

Aaj sadko'n par likhe hai saikdo'n naare na dekh,
Ghar andhera dekh tu,aakash ke taare na dekh.

Ek dariya hai yahan par door tak faila hua,
Aaj apne baazuo'n ko dekh patwaare na dekh.

Ab yaqinan thos hai dharti haqiqat ki tarah,
Yeh haqiqat dekh,lekin khauf ke maare na dekh.

Ve sahare bhi nahin ab,jang ladni hai tujhe,
Kat chuke jo haath,un haatho'n me talvaare'n na dekh.

Dil ko behla le,ijazat hai,magar itna na udd,
Roz sapne dekh,lekin iss qadar pyaare na dekh.

Yeh dhundhalka hai nazar ka,tu mahaz maayoos hai,
Rogano'n ko dekh,deewaaro'n me deewaarein na dekh.

Raakh,kitni raakh hai,chaaro'n taraf bikhri huyi,
Raakh me chingaariya'n hi dekh,angare'n na dekh.

                            -DUSHYANT KUMAR


TUM BHI KHAFA HO LOG BHI BEREHEM HAI DOSTON

Tum bhi khafa ho log bhi berehem hai dosto'n,
Ab ho chala yaqi'n ke bure hum hai dosto'n.

Kis ko hamare haal se nisbat hai kya kare,
Aankhe'n toh dushmano'n ki bhi pur-nam hai dosto'n.
(Nisbat=Sambandh)

Apne siwa hamare na hone ka gam kise,
Apni talaash me toh hum hi hum hai dosto'n.

Kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha,
Kuch sheher ke chiraag bhi maddham hai dosto'n.

Iss sheher-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo,
Ab dil ki raunaqe'n koi dam hai dosto'n.

Sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai,
Duniya me aise log bahot kam hai dosto'n.

                                  -AHMED FARAZ

    




No comments:

Post a Comment