Thursday 11 February 2016

LAFZ-E-MOHABBAT

            ...TERE DIL SE EK DIN...

Dekhna...Tere dil se ek din raasta niklega
Jo mujh tak zaroor aayega,
Bewafai ka yeh jo daag hai
Woh tab hi mit payega.

Jab woh yaadon bhara saawan aayega,
Woh har bheega lamha tumhari aankhon
Ke aage chha jayega.

Jab mausam ho sard ka aur
Alam ho dard ka,
Mere seene se lipat jaane ka
Tumhara jee chahega.

Tanhayi me din bitana
Tumhari tasveer dekhkar do boond ashk bahana,
Yeh sab kaam hamara hai
Yeh tumse na ho payega.

                -RANA PRATAP SINGH


               YEH ISHQ NAHI AASAA'N

Ek lafz-e-mohabbat ka adnaa sa fasaana hai,
Simte toh dil-e-aashiq phaile to zamaana hai.

Yeh kiska tasavvur hai yeh kiska fasaana hai,
Jo ashk hai aankho'n me tasbiih ka daana hai.

Hum ishq ke maaro ka itna hi fasaana hai,
Rone ko nahi koi hasne ko zamaana hai.

Woh aur wafa-dushman manega na maana hai,
Sab dil ki shararat hai aankho'n ka bahana hai.

Kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai,
Hum khaak-nashino'n ki thokar me zamaana hai.

Woh husn-o-jamaal unka yeh ishq-o-shabaab apna,
Jeene ki tamanna hai marne ka zamaana hai.

Yaa woh the khafa hum se yaa hum the khafa unse,
Kal unka zamaana tha aaj apna zamaana hai.

Ashko'n ke tabassum me aaho'n ke tarannum me,
Maasoom mohabbat ka maasoom fasaana hai.

Aankho'n me nami si hai chup chup se woh baithe hai,
Naazuk si nigaaho'n me naazuk sa fasaana hai.

Hai ishq-e-junoo'n pesha haan ishq-e-junoo'n pesha,
Aaj ek sitamgar ko has has ke rulaana hai.

Yeh ishq nahi aasaa'n itna toh samajh lijiye,
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.

Aansoo toh bahot se hai aankho'n me JIGAR lekin,
Bindh jaaye so moti hai reh jaaye toh daana hai.

                               -JIGAR MORADABADI


WOH JO HUM ME TUM ME QARAAR THA

Woh jo hum me tum me qaraar tha
Tumhe yaad ho ke na yaad ho,
Wahi yaani waada nibaah ka
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Woh jo lutf mujhpe the peshtar,
Woh karam ke tha mere haal par,
Mujhe sab hai yaad zara zara,
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Woh naye gile woh shikaayate'n
Woh maze maze ki hikaayate'n,
Woh har ek baat pe roothna
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Kahin baithe sab hai jo ru-ba-ru
Toh ishaarato'n hi me guftagu,
Woh bayaan shauq ka barmalaa
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Hue ittefaaq se gar baham
Woh wafa jataane ko dam-ba-dam,
Gila-e-malaamat-e-aqrabaa
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Koi aisi baat agar hui
Jo tumhare jee ko buri lagi,
Toh bayaan se pehle hi bhoolna
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Kabhi hum me tum me bhi chaah thi
Kabhi hum se tum se bhi raah thi,
Kabhi hum bhi tum bhi the aashnaa
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Suno zikr hai kayi saal ka
Ke kiya ek aap ne waada tha,
So nibhaane ka toh zikr kya
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Woh bigadna vasl ki raat ka
Woh na maanna kisi baat ka,
Woh nahin nahin ki har aan-adaa
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

Jise aap ginte the aashnaa
Jise aap kehte the baa-wafa,
Main wahi hun MOMIN-e-mubtalaa
Tumhe yaad ho ke na yaad ho.

              -MOMIN KHAN MOMIN


                MAIN AUR MERI AAWARGI

Phirte hai kab se dar-ba-dar,ab is nagar ab us nagar,
Ek doosre ke humsafar,main aur meri aawargi.
Na aashna har reh-guzar na meherbaa'n hai ek nazar,
Jaaye toh ab jaaye kidhar main aur meri aawargi.

Hum bhi kabhi aabaad the aise kahaan barbaad the,
Befikr the aazaad the masroor the dilshaad the,
Woh chaal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya,
Nikle jala ke apna ghar main aur meri aawargi.

Woh maah-e-wash woh maah-e-rooh woh maah-e-kaamil hu-ba-hu,
Thi jiski baatein ku-ba-ku usse ajab thi guftagu,
Phir yun hua woh kho gayi aur mujh ko zid si ho gayi,
Layenge usko dhoondkar main aur meri aawargi.

Yeh dil hi tha jo seh gaya woh baat aisi keh gaya,
Kehne ko phir kya reh gaya ashko'n ka dariya beh gaya,
Jab keh kar woh dilbar gaya tere liye main mar gaya,
Rote hai usko raat bhar main aur meri aawargi.

Ab gam uthaaye kis liye yeh dil jalaaye kis liye,
Aansoo bahaaye'n kis liye yun jaa'n gawaaye'n kis liye,
Pesha na ho jiska sitam dhoondenge ab aisa sanam,
Honge kahin toh kaargar main aur meri aawargi.

Aasaar hai sab khot ke imkaan hai sab chot ke,
Ghar band hai sab kot ke ab khatm hai sab totke,
Qismat ka sab yeh khel hai andher hi andher hai,
Aise hue be-asar main aur meri aawargi.

Jab ham-dam-o-hamraaz tha tab aur hi andaaz tha,
Ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha,
Ab mujhse ho toh ho bhi kya hai saath woh toh woh bhi kya,
Ek behunar ek besabar main aur meri aawargi.

                                    -JAVED AKHTAR


No comments:

Post a Comment