Saturday 5 March 2016

MUNTAKHAB NAZME


"Muntakhab" ka matlab hota hai "chuna hua" ya "sanklit".


MukhtalifShayar_Rana
          
               TERI PEHLI NAZAR

Teri pehli nazar hi mujh par koi jaadu kar gayi,
Mere khwaabo'n khayaalo'n ko bekaabu kar gayi.

Tab se mere shab me tu hai,
Har shabd me tu hai.
Mere subh-o-shaam me tu hai,
Har kaam me tu hai.
Mere zikr me tu hai,
Har fikr me tu hai.
Meri guftagu me tu hai,
Tu jab nahi hai tab bhi tu hai.

Jahan bhi jata hu'n bas tujhko hi pata hu'n,
Sabko sunata hu'n apna haal-e-dil
Bas ek tujh hi ko nahi sunata hu'n.

Jab bhi sochta hu'n bata du tujhe apne dil ka haal,
Agli baar,bas yahi keh kar har baar main deta hu'n taal.
Tu kya jaane mere dil ka dard,
Chaahne laga hai tujhko jabse rehta hai yeh behaal.

Bas...
Sochta hu'n ab bata hi du tujhe,
Ki mera dil mere paas nahi
Kabka de diya hai tujhe.
Mere izhaar ka jawaab de mujhe,
Mere ummido'n ka diya bhabhak raha hai
Roshan kar ya bujha de use.

Ab tere jawaab par hi mera sab kuch nirbhar hai,
Tu meri jaan-e-jigar hai,humraah hai,dilbar hai.

Agar tune kar diya inkaar toh main toot kar bikhar jaaunga,
Idhar ka rahunga na udhar ka
Main kidhar jaaunga.

Mujhsa aashna tera na koi hua hai
Na koi hoga kal,
Mere iss mohabbat ke adhure fasaane ko
Tu apni hami se kar de muqammal.

                           - RANA PRATAP SINGH



AJEEB AADMI THA WOH

Ajeeb aadmi tha woh

Mohabbaton ka geet tha,
Bagawaton ka raag tha,
Kabhi woh sirf phool tha,
Kabhi woh sirf aag tha,
Ajeeb aadmi tha woh.

Woh mufliso'n se kehta tha
Ki din badal bhi sakte hai,
Woh jabiro'n se kehta tha
Tumhare sar pe sone ke jo taaj hai
Kabhi pighal bhi sakte hai.
Woh bandisho'n se kehta tha
Main tumko tod sakta hu'n,
Sahulato'n se kehta tha
Main tumko chhod sakta hu'n,
Hawao'n se woh kehta tha
Main tumko mod sakta hu'n.

Woh khwaab se yeh kehta tha
Ki tujhko sach karunga main,
Woh aarzu se kehta tha
Main tera humsafar hu'n
Tere saath hi chalunga main,
Tu chahe jitni duur bhi bana le apni manzile'n
Kabhi nahi thakunga main.

Woh zindagi se kehta tha
Ki tujhko main sajaunga,
Tu mujhse chaand maang le
Main chaand leke aaunga.

Woh aadmi se kehta tha
Ki aadmi se pyaar kar,
Ujad rahi hai yeh zami'n
Kuch iska ab singaar kar,
Ajeeb aadmi tha woh.

Woh zindagi ke saare gam
Tamaam dukh har ek sitam se kehta tha
Main tumse jeet jaaunga,
Ki tumko toh mita hi dega ek roz aadmi
Bhula hi dega yeh jahaa'n
Meri alag hai dastaa'n.

Woh aankhe'n jinme khwaab hai,
Woh dil hai jin me dhadkane hai,
Woh baazu jin me hai sakat,
Woh honth jin pe lafz hai,
Rahunga unke darmiya'n
Ki jab main beet jaaunga.

Ajeeb aadmi tha woh.

(muflis=kangaal,jaabir=atyachari)

              - JAVED AKHTAR



        MAIN TOH KUCH BHI NAHI

Aap,aap kya jaane mujhko samajhte hai kya
Main toh kuch bhi nahi.

Is kadar pyaar itni badi bheed ka main rakhunga kahan ?
Is kadar pyaar rakhne ke kaabil nahi.
Mera dil meri jaan
Mujhko itni mohabbat na do dosto'n,
Soch lo dosto'n
Is kadar pyaar kaise sambhalunga main,
Main toh kuch bhi nahi.

Pyaar...pyaar ek shaks ka bhi agar mil sake
Toh badi cheez hai zindagi ke liye,
Aadmi ko magar yeh bhi milta nahi.
Mujhko itni mohabbat mili aapse
Yeh mera hak nahi meri taqdeer hai.
Main zamaane ki nazro'n me kuch bhi na tha,
Meri aankho'n me ab woh tasveer hai.
Is mohabbat ke badle,main kya nazar du,
Main toh kuch bhi nahi.

Izzatein,shohratein,chahatein,ulfatein,
Koi bhi cheez duniya me rehti nahi,
Aaj main hun jahan kal koi aur tha
Yeh bhi ek daur hai woh bhi ek daur tha.

Aaj itni mohabbat na do dosto'n
Ki mere kal ki khaatir na kuch bhi rahe,
Aaj ka pyaar thoda bachaa kar rakho
Mere kal ke liye,
Kal...kal jo gumnaam hai
Kal jo sunsaan hai
Kal jo anjaan hai
kal jo veeraan hai.

Main toh kuch bhi nahi hun...
Main toh kuch bhi nahi.

                    - SAHIR LUDHIANVI
From movie- DAAG:A POEM OF LOVE


                            AADAT

Muddato'n main ek andhe kue'n me aseer
Sar patak'ta raha gidgidata raha,
Raushni chahiye,chandni chahiye,zindagi chahiye
Raushni pyaar ki,chandni yaar ki,zindagi daar ki.

Apni aawaaz sunta raha raat-din
Dheere-dheere yaqi'n dil ko aata raha,
Soone sansaar me,Bewafa yaar me,Daaman-e-daar me,
Raushni bhi nahi,Chandni bhi nahi,Zindagi bhi nahi.

Zindagi ek raat,Vahima kainaat,Aadmi be-bisaat,
Log kotah-qad,shahr shahr-e-hasad,
Gaanv inse bhi bad.

In andhero'n ne jab pees dala mujhe,
Phir achanal kue'n ne uchhala mujhe,
Apne seene se bahar nikala mujhe.
Saikdo'n misr the saamne,
Saikdo'n uske bazaar the.
Ek budhi zulekha nahin,
Jaane kitne kharidaar the.
Badhta jaata tha yusuf ka mol,
Log bikne ko tayyar the.

Khul gaye mah-jabinon ke sar,
Reshmi chadaren hat gayi,
Palken jhapki'n na nazren jhuki'n,
Marmari'n ungliyan kat gayi.
Haath daaman tak aaya koi,
Dhajjiyan duur tak bat gayi.

Maine darr ke laga di kuen chhalaang,
Sar patakne laga phir isi karb se,
Phir isi dard se gidgidane laga,
Raushni chahiye,Chandni chahiye,Zindagi chahiye.

(Aseer=bandhi,daar=sooli,
 Kotah-qad=chote deel dol ka,
 Hasad=irshya,
Zulekha=Misr ke 
 Raja Ajeez ki patni,
 Marmar=safed patthar)

                                  - KAIFI AZMI


      VISAAL KI KHWAAHISH

Keh bhi de ab woh sab baatein
Jo dil me poshida hai,
Saare roop dikha de mujhko
Jo ab tak nadida hai.
Ek hi raat ke taaren hai
Hum dono usko jaante hai,
Duuri aur majboori kya hai
Usko bhi pehchaante hai.
Kyu phir dono mil nahi sakte
Kyu yeh bandhan toota hai,
Ya koi khot hai tere dil me
Ya mera gam jhutha hai.

         - MUNIR NIYAZI


No comments:

Post a Comment