Saturday 26 March 2016

ALFAAZ-E-DIL

ALFAAZ ka matlab hota hai "SHABD".

Mukhtalif Shayar


DARD BAAR-BAAR APNA BAYAAN KYA KARNA

Dard baar-baar apna bayaan kya karna,
Aabroo par daag toh apno ne lagaya
Ab gairo se haya kya karna.

Jaam khatm hote hi saaqi phir bharne laga,
Saaqi bhi apna yaar thehra..ab use mana kya karna.

Hamare dar par jo bhi aaya kabhi khali na gaya,
Ab maut aayi hai..bhala use khali haath rawaan kya karna.

Woh jaate-jaate gehra ghaav de gaya,
Yeh mohabbat ka ghaav hai..iski dawa kya karna.

Aadmi kitna bhi mahaan ho,use aadmi hi rehne do,
Yun chhoti-moti baaton ke liye use rehnuma kya karna.

Maddham baarish,tum aur main,aur ek sunsaan sadak,
Aisa manzar toh aane se raha..aise manzar ki duaa kya karna.

                                        -RANA PRATAP SINGH


Sunday 20 March 2016

TANHA DIL

                 GAM-E-ZINDAGI

Ek ek kar ke har koi yahan se jaa raha hai,
Yeh dekh kar mera dil baitha jaa raha hai.

Yeh sadak badi sunsaan si lagti hai,
Yeh raat bhi viraan si lagti hai.

Chalte-chalte hawa jab mujhe chhu kar guzarti hai,
Toh hawa bhi pareshaan si lagti hai.

Main akelepan ke dal-dal me dhasaa jaa raha hun,
Meri zindagi mujhe zindagi nahi lagti hai.

Ranj-tale main itna dab chuka hun,
Ki barsaat bhi mujhe aasmaan ke aansoo si lagti hai.

Main apne baare me kya kahun main khud nahi jaanta,
Bas ek gumraah musafir hun aur gumnaam si hasti hai.

                               -RANA PRATAP SINGH



Main toh kuch bhi nahi


           YEH KHEL KYA HAI

Mere mukhalif ne chaal chal di hai
Aur ab mere chaal ke intezaar me hai
Magar main kab se safed khanon,
Siyah khanon me rakkhe kaale safed mohron ko dekhta hun
Main sochta hun yeh mohren kya hai.

Agar main samjhu ke yeh jo mohren hai
Sirf lakdi ke hai khilaune toh jeetna kya hai haarna kya hai
Na yeh zaruri na woh ahem hai
Agar khushi hai na jeetne ki na haarne ka hi koi gham hai
Toh khel kya hai
Main sochta hun jo khelna hai
Toh apne dil me yaqeen kar lun
Yeh mohren sach-much ke hai baadshah-o-vazir-o-pyade
Aur in aage hai dhushmano ki woh fauj
Rakhti hai jo ki mujhko tabah karne ke
Saare mansube sab iraade
Magar aisa jo maan bhi lun
Toh sochta hun yeh khel kab hai
Yeh jang hai jisko jeetna hai
Yeh jang hai jisme sab hai jaayaz
Koi yeh kehta jaise mujhse
Yeh jang bhi hai yeh khel bhi hai
Yeh jang hai par khiladiyon ki
Yeh jang hai khel ki tarah
Main sochta hun jo khel hai
Isme iss tarah ka usool kyu hai
Ke koi mohra rahe ke jaaye
Magar jo hai baadshah uspar kabhi koi aanch bhi na aaye
Vazir hi ko hai bas ijaazat ki jis taraf woh chaahe jaaye

Main sochta hun jo khel hai
Isme is tarah ka usool kyu hai
Pyaada jo apne ghar se nikle palat ke wapas na jaane paaye

Main sochta hun agar yahi hai usool
Toh fir usool kya hai
Agar yahi hai khel toh fir yeh khel kya hai

Main inn sawaalon se jaane kabse ulajh raha hun
Mere mukhalif ne chaal di hai
Aur ab mere chaal ke intezaar me hai.

                            -JAVED AKHTAR



Maine aapko paaya hai


          APNE HAR EK LAFZ KA.....

Apne har ek lafz ka khud aaina ho jaaunga,
Usko chhota keh ke main kaise bada ho jaaunga.

Tum giraane me lage the tumne socha hi nahi,
Main gira toh masla ban kar khada ho jaaunga.

Mujhko chalne do akela hai abhi mera safar,
Rasta roka gaya toh qaafila ho jaaunga.

Saari duniya ki nazar me hai mera ahd-e-wafa,
Ek tere kehne se kya main bewafa ho jaaunga.

                           -WASEEM BARELVI


...TOH FATIHA PADHNE CHALE AANA

Tumhari qabr par main fatiha padhne nahi aaya
Mujhe maloom tha tum mar nahi sakte
Tumhari maut ki sacchi khabar jisne udayi thi
Woh jhhuta tha,
Woh tum kab the
Koi sukhha hua patta hawa se hil ke toota tha
Meri aankhen tumhare manzaron me qaid hai ab tak
Main jo bhi dekhta hun sochta hun woh wahi hai
Jo tumhari nek-naami aur bad-naami ki duniya thi
Kahin kuch bhi nahi badla
Tumhare haath mere ungliyon me saans lete hai
Main likhne ke liye jab bhi qalam-kaagaz uthata hun
Tumhe baitha hua main apne hi kursi me pata hun
Badan me mere jitna bhi lahu hai
Woh tumhari laghzishon nakamiyon ke sath behta hai
Meri awaaz me chhup kar tumhara zehn rehta hai
Meri bimaariyon me tum meri lachariyon me tum
Tumhari qabr par jisne tumhara naam likha hai
Woh jhhuta hai
Tumhari main qabr me main dafn hun
Tum mujhme zinda ho
Kabhi fursat mile toh fatiha padhne chalne aana.

                                           -NIDA FAZLI


ROZ BADHTA HUN JAHAN SE AAGE...

Roz badhta hun jahan se aage
Phir wahin laut ke aa jata hun,
Baar-ha tod chuka hun jinko
Unhin diwaaron se takrata hun.
Roz baste hai kayi shahr naye
Roz dharti me sama jaate hai,
Zalzalon me thi zara si garmi
Woh bhi ab roz hi aa jaate hai.

Jism se rooh talak ret hi ret
Na kahin dhoop na saaya na saraab,
Kitne armaan hai kis sehra me
Kaun rakhta hai mazaron ka hisaab.
Nabz bujhti bhi bhadakti bhi hai
Dil ka maamul hai ghabrana bhi,
Raat andhere ne andhere se kaha
Ek aadat hai jiye jana bhi.
Qaus ek rang ki hoti hai tulu
Ek hi chaal bhi paimaane ki,
Goshe goshe me khadi hai masjid
Shakl kya ho gayi hai maikhaane ki.
Koi kehta tha samundar hun main
Aur meri jeb me qatra bhi nahi,
Khairiyat apni likha karta hun
Ab toh taqdeer me khatra bhi nahi.
Apne haathon ko padha karta hun
Kabhi quran kabhi geeta ki tarah,
Chand rekhaon me simaon me
Zindagi qaid hai sita ki tarah.
Ram kab lautenge maloom nahi
Kaash ravan hi koi aa jata.

                       -KAIFI AZMI




Saturday 12 March 2016

Nazron Se Nazren Milengi Toh Qaraar Aayega..


Nazron Se Nazren Milengi...

Nazron se nazren milengi to qaraar aayega,
Jo tumhe chahta hai tumse milne har baar aayega.

Yeh itna shor-sharaba itni tayyari kis liye,
Kyuki badi muddaton baad aaj mera yaar aayega.

Yunhi chalte-chalte hans padogi tum,
Tumhe jab mera khayal aayega...tumhe jab mera khayal aayega.

Yeh naazuk sa dil kabhi bhaari bhi ho jayega,
Jab yaad tumhe mera ashaar aayega.

- Rana Pratap Singh




mukkhtalifshayar.blogspot.in_1_12/03/2016



Ashaar Mere Yun Toh Zamaane Ke Liye Hai

Ashaar mere yun toh zamaane ke liye hai,
Kuch sher faqat unko sunane ke liye hai.

Ab yeh bhi theek nahi ki saare dard mita de,
Kuch dard kaleje se lagane ke liye hai.

Aankhon me jo bhar loge toh kaanto se chubhenge,
Yeh khwaab toh palko pe sajane ke liye.

Dekhun jo tere haathon ko toh lagta hai jaise tere haath,
Mandir me faqat diip jalane ke liye hai.

Socho toh badi cheez hai tehzeeb badan ki,
Warna toh badan aag bujhaane 
ke liye hai.

Yeh ilm ka sauda yeh risaale yeh kitaabe,
Ek shaks ki yaadon ko bhulane ke liye hai.

-Jan Nisar Akhtar


Pyar Mujhse Jo Kiya tumne...

Pyar mujhse jo kiya tumne toh kya paogi,
Mere halaat ki aandhi me bikhar jaogi.

Ranj aur dard ki basti ka main bashinda hun,
Yeh toh bas main hun ke iss haal me bhi zinda hun,
Khwaab kyu dekhun woh kal jispar main sharminda hun,
Main jo sharminda hua toh tum bhi sharmaogi.

Kyu meri tarah koi aur pareshaan rahe,
Meri duniya hai jo viraan toh viraan rahe,
Zindagi ka yeh safar tumko toh aasaan rahe,
Humsafar mujko banaogi toh pachtaogi.

Ek main kya abhi aayenge deewaane kitne,
Abhi gunjenge mohabbat ke taraane kitne,
Zindagi sunayegi tumko fasaane kitne,
Kyu samajhti ho mujhe bhool na paogi.

-Javed Akhtar


Meri Tasveer Me Rang Aur Kisi Ka Toh Nahi

Meri tasveer me rang aur kisi ka toh nahi,
Gher le aake mujhko sab main tamasha toh nahi.

Zindagi tujhse har ek saans pe samjhauta karun,
Jeene ka shauq hai mujhe par itna toh nahi.

Rooh ko dard mila dard ko aankhen na mili,
Tujhko mehsoos kiya hai tujhe dekha toh nahi.

Sochte-sochte dil doobne lagta hai mera,
Zehen ki tah me 'Muzaffar' koi dariya toh nahi.

-Muzaffar Warsi


Saturday 5 March 2016

MUNTAKHAB NAZME


"Muntakhab" ka matlab hota hai "chuna hua" ya "sanklit".


MukhtalifShayar_Rana
          
               TERI PEHLI NAZAR

Teri pehli nazar hi mujh par koi jaadu kar gayi,
Mere khwaabo'n khayaalo'n ko bekaabu kar gayi.

Tab se mere shab me tu hai,
Har shabd me tu hai.
Mere subh-o-shaam me tu hai,
Har kaam me tu hai.
Mere zikr me tu hai,
Har fikr me tu hai.
Meri guftagu me tu hai,
Tu jab nahi hai tab bhi tu hai.

Jahan bhi jata hu'n bas tujhko hi pata hu'n,
Sabko sunata hu'n apna haal-e-dil
Bas ek tujh hi ko nahi sunata hu'n.

Jab bhi sochta hu'n bata du tujhe apne dil ka haal,
Agli baar,bas yahi keh kar har baar main deta hu'n taal.
Tu kya jaane mere dil ka dard,
Chaahne laga hai tujhko jabse rehta hai yeh behaal.

Bas...
Sochta hu'n ab bata hi du tujhe,
Ki mera dil mere paas nahi
Kabka de diya hai tujhe.
Mere izhaar ka jawaab de mujhe,
Mere ummido'n ka diya bhabhak raha hai
Roshan kar ya bujha de use.

Ab tere jawaab par hi mera sab kuch nirbhar hai,
Tu meri jaan-e-jigar hai,humraah hai,dilbar hai.

Agar tune kar diya inkaar toh main toot kar bikhar jaaunga,
Idhar ka rahunga na udhar ka
Main kidhar jaaunga.

Mujhsa aashna tera na koi hua hai
Na koi hoga kal,
Mere iss mohabbat ke adhure fasaane ko
Tu apni hami se kar de muqammal.

                           - RANA PRATAP SINGH



AJEEB AADMI THA WOH

Ajeeb aadmi tha woh

Mohabbaton ka geet tha,
Bagawaton ka raag tha,
Kabhi woh sirf phool tha,
Kabhi woh sirf aag tha,
Ajeeb aadmi tha woh.

Woh mufliso'n se kehta tha
Ki din badal bhi sakte hai,
Woh jabiro'n se kehta tha
Tumhare sar pe sone ke jo taaj hai
Kabhi pighal bhi sakte hai.
Woh bandisho'n se kehta tha
Main tumko tod sakta hu'n,
Sahulato'n se kehta tha
Main tumko chhod sakta hu'n,
Hawao'n se woh kehta tha
Main tumko mod sakta hu'n.

Woh khwaab se yeh kehta tha
Ki tujhko sach karunga main,
Woh aarzu se kehta tha
Main tera humsafar hu'n
Tere saath hi chalunga main,
Tu chahe jitni duur bhi bana le apni manzile'n
Kabhi nahi thakunga main.

Woh zindagi se kehta tha
Ki tujhko main sajaunga,
Tu mujhse chaand maang le
Main chaand leke aaunga.

Woh aadmi se kehta tha
Ki aadmi se pyaar kar,
Ujad rahi hai yeh zami'n
Kuch iska ab singaar kar,
Ajeeb aadmi tha woh.

Woh zindagi ke saare gam
Tamaam dukh har ek sitam se kehta tha
Main tumse jeet jaaunga,
Ki tumko toh mita hi dega ek roz aadmi
Bhula hi dega yeh jahaa'n
Meri alag hai dastaa'n.

Woh aankhe'n jinme khwaab hai,
Woh dil hai jin me dhadkane hai,
Woh baazu jin me hai sakat,
Woh honth jin pe lafz hai,
Rahunga unke darmiya'n
Ki jab main beet jaaunga.

Ajeeb aadmi tha woh.

(muflis=kangaal,jaabir=atyachari)

              - JAVED AKHTAR



        MAIN TOH KUCH BHI NAHI

Aap,aap kya jaane mujhko samajhte hai kya
Main toh kuch bhi nahi.

Is kadar pyaar itni badi bheed ka main rakhunga kahan ?
Is kadar pyaar rakhne ke kaabil nahi.
Mera dil meri jaan
Mujhko itni mohabbat na do dosto'n,
Soch lo dosto'n
Is kadar pyaar kaise sambhalunga main,
Main toh kuch bhi nahi.

Pyaar...pyaar ek shaks ka bhi agar mil sake
Toh badi cheez hai zindagi ke liye,
Aadmi ko magar yeh bhi milta nahi.
Mujhko itni mohabbat mili aapse
Yeh mera hak nahi meri taqdeer hai.
Main zamaane ki nazro'n me kuch bhi na tha,
Meri aankho'n me ab woh tasveer hai.
Is mohabbat ke badle,main kya nazar du,
Main toh kuch bhi nahi.

Izzatein,shohratein,chahatein,ulfatein,
Koi bhi cheez duniya me rehti nahi,
Aaj main hun jahan kal koi aur tha
Yeh bhi ek daur hai woh bhi ek daur tha.

Aaj itni mohabbat na do dosto'n
Ki mere kal ki khaatir na kuch bhi rahe,
Aaj ka pyaar thoda bachaa kar rakho
Mere kal ke liye,
Kal...kal jo gumnaam hai
Kal jo sunsaan hai
Kal jo anjaan hai
kal jo veeraan hai.

Main toh kuch bhi nahi hun...
Main toh kuch bhi nahi.

                    - SAHIR LUDHIANVI
From movie- DAAG:A POEM OF LOVE


                            AADAT

Muddato'n main ek andhe kue'n me aseer
Sar patak'ta raha gidgidata raha,
Raushni chahiye,chandni chahiye,zindagi chahiye
Raushni pyaar ki,chandni yaar ki,zindagi daar ki.

Apni aawaaz sunta raha raat-din
Dheere-dheere yaqi'n dil ko aata raha,
Soone sansaar me,Bewafa yaar me,Daaman-e-daar me,
Raushni bhi nahi,Chandni bhi nahi,Zindagi bhi nahi.

Zindagi ek raat,Vahima kainaat,Aadmi be-bisaat,
Log kotah-qad,shahr shahr-e-hasad,
Gaanv inse bhi bad.

In andhero'n ne jab pees dala mujhe,
Phir achanal kue'n ne uchhala mujhe,
Apne seene se bahar nikala mujhe.
Saikdo'n misr the saamne,
Saikdo'n uske bazaar the.
Ek budhi zulekha nahin,
Jaane kitne kharidaar the.
Badhta jaata tha yusuf ka mol,
Log bikne ko tayyar the.

Khul gaye mah-jabinon ke sar,
Reshmi chadaren hat gayi,
Palken jhapki'n na nazren jhuki'n,
Marmari'n ungliyan kat gayi.
Haath daaman tak aaya koi,
Dhajjiyan duur tak bat gayi.

Maine darr ke laga di kuen chhalaang,
Sar patakne laga phir isi karb se,
Phir isi dard se gidgidane laga,
Raushni chahiye,Chandni chahiye,Zindagi chahiye.

(Aseer=bandhi,daar=sooli,
 Kotah-qad=chote deel dol ka,
 Hasad=irshya,
Zulekha=Misr ke 
 Raja Ajeez ki patni,
 Marmar=safed patthar)

                                  - KAIFI AZMI


      VISAAL KI KHWAAHISH

Keh bhi de ab woh sab baatein
Jo dil me poshida hai,
Saare roop dikha de mujhko
Jo ab tak nadida hai.
Ek hi raat ke taaren hai
Hum dono usko jaante hai,
Duuri aur majboori kya hai
Usko bhi pehchaante hai.
Kyu phir dono mil nahi sakte
Kyu yeh bandhan toota hai,
Ya koi khot hai tere dil me
Ya mera gam jhutha hai.

         - MUNIR NIYAZI