Tuesday 7 June 2016

HAAL-E-DIL


MUKHTALIF SHAYAR


              HAAL-E-DIL

Nazron se nazren ab hum milaate nahi,
Har kisi ko ab hum apna haal-e-dil sunate nahi.

Aise hue hai bekhabar apne aas paas ki duniya se,
Ke koi pooche humse hamare ghar ka haal toh hum woh bhi bayaan kar paate nahi.

Yeh kitaabe yeh kalam kis kaam ke,
Ke ab toh hum kuch likh paate nahi.

Der se hi sahi hume ek khayaal toh aaya,
Warna hum shayar kehlaate nahi.

Iss chhoti si zindagi me hum itni dafa haar chuke hai,
Ke jeet ka bhi jashn ab hum manaate nahi.

Hum toh unke aage kabse sir jhukaaye khade hai,
Aur woh hai ke hume apna shagird banaate nahi.

Shayad unko hamari mohabbat par aitbaar na tha,
Warna woh humko iss kadar aazmaate nahi.

Zarurat padne par hum sabko yaad aate hai,
Jashn ke mauke par hum kisi ko yaad aate nahi.

Iss akelepan ke marz ka koi ilaaj ho toh bataaye,
Ke hum akele ghar se nikalte hai aur jaldi wapas aate nahi.

Thoda-thoda karke hum roz marte hai,
Kyu kisi roz hum puri tarah jaan se jaate nahi.

                              -RANA PRATAP SINGH

No comments:

Post a Comment